Saturday, May 17, 2008

A Very Beautiful Ghazal By Late Nusrat Fateh Ali Khan Dedicated To Her

Aap Se Milkar Hum Kuch Badal Se Gaye Sher Padhne Lage Gungunaane Lage,
Pehle Mashoor Thee Apni Sanjidgi Ab To Jab Dekhiye Muskurane Lage.
Humko Logon Se Milne Ka Kab Shauk Tha,Mehfil Aarai Ka kab Humein Zauk Tha,
Aap Ke Waaste Hamne Ye Bhi Kiya Milne Julne lage Aane Jaane Lage.
Aap Se Milke Kuch Badal Se Gaye.
Humnein Aap ki Dekhi Jab Dilchaspiyaan,
Aa Gayee Chand Humme Bhi Tabdiliyaan.
Ek Mussavvir Se Bhi Ho Gayee Dosti,
Aur Ghazlein Bhi Sunne Sunaane Lage.
Aap se Milke Hum Kuch Badal Se Gaye.Aap se Milke Hum Kuch Badal Se Gaye.
Aap Ke Baare Mein Puchh Baitha Koi,
Kya Kahein Humse Kya Badhawaasi Huee,
Kehne Waali Jo Thi Baat Woh Naa Kahi,Baat Thi Jo Chupaani Woh Bataane Lage.
Aap Se Milke Hum Kuch Badal Se Gaye.
Ishq Beghar Kare Ishq Bedar Kare, Ishq Ka Sach Hai Koi Thikaana Nahin,
Ishq Beghar Kare Ishq Bedar Kare Ishq Ka Sach Hai Koi Thikaana Nahin.
Hum Jo Kal Tak Thikaane Ke The Aadmi,Aap Se Milke Kaise Thikaane Lage.
Pehle Mashoor Thee Apni Sanjidgi,Ab To Jab Dekhiye Muskurane Lage.
Aap Se Milkar Hum Kuch Badal Se Gaye.Sher Padhne Lage Gungunaane Lage.
Aap Se Milkar Hum Kuch Badal Se Gaye.......................................

Me And Me

Sunday, May 11, 2008

Come to my world

Hi Friends,
welcome to my world in this blog You will find everything related with me.